Tuesday 2 July 2013

Ek thi Kashti ek tha Kinara.....

Ek thi Kashti ek tha Kinara.....
Dono the akele the dono hee besahara.....
Rutt badli par Kinara na peeche hata.....
Kashti bhi aati rahi dene use harr Dard ki dawa.....
Ek Dinn poochti Kashti ki tujhe Dard kya hai.....
Dia Jawab Kinare ne ki harr Din hee mera ek Saalgiraah hai.....
Baat yeh Kashti ke Samajh na aayi.....
Dard hai kya use yeh sunn woh dheeme se Muskurayi.....
Phir chal padi hawa or Kashti bhi uske Ruukkhh me beh chali gayi.....
Manzil thi uski Purab aur woh Paschim me Safar taye karti gayi.....
Sochta raha Kinara ki iska Safar bhi Dhua bharr ka hai......
Jaise Badli hawa waise hee Naavik use badalta hai......
Soch lo Zindagi mita lo aise hee Gum......
Kya hai Safar aur kyu hai tumsabki aankhein namm......
Rahe Manzil toh Raston ki na karo Fikar.....
Milti hai Manzil use jo bhatka hai Kashti ki tarah darbadar.......
Ab tu hai Kashti aur main hoon Kinaara.....
Chalna hamesha Sang na Chorna kabhi Saath hamara.....

Ek thi Kashti Ek tha Kinara.............!!!!!!!!!!!!

Wednesday 26 June 2013

Tanha Rehna Seekh Raha Hon

Tanha Rehna Seekh Raha Hon
Mar K Jeena Seekh Raha Hon
Maang K Pana Seekh liya Hai
Paa K Khona Seekh Raha Hon
Sabar ko Apni Raah Bana Kar
Kanch Pe Chalna Seekh Raha Hon
Phirty Phirty Sehra Sehra
Piyas ko Peena Seekh Raha Hon
Jeene K Hain Ajeeb Taqazay
Zinda Rehna Seekh Raha Hon.
Zindgi Per Kitab Likhonga
Us Mai Sary Hisab Likhonga
Pyar ko Waqt Guzari Likh Kar
Chahton ko Azaab Likhonga
Hui Barbad Muhabbat Kaise
Kaise Bikhre ha Khuwab Likhonga
Apni Khwahish ka Tazkra Kar k
Uska Chehra Gulaab Likhonga
Mai Us Se Judai ka Sabab
Apni Qismat Kharab Likhonga.

Monday 24 June 2013

Mere Sabar ka Imtehan

Na Puch Mere Sabar ka Intehan Khatak hai.,...
Tu Sitam Karle Teri Hasrat Jaha Tak Hai...
Waga Ki Umeed Jinhe Hogi Unhe Hogi...
Hame To Ye Dekhna Hai Ki Tu Bewafa Khaha Tak Hai...

Saturday 22 June 2013

KAMINE UTH JALDI

Humari Bhi Thi Ek Kahani....Hamari Bhi Thi Ek Hasti Purani..
Kandhe Pe The Dosto Ka Hath, Saara Zamana Jeet Leta Aisa Tha Yaaro Ka Sath...
Sath Baith Kar Karte The Masti Jab Samosa Tha Ek Rupaye Aur Sasti Thi Chai..
Dosto Ke Liye Kiya Bachpan Kurbaan,AAj Saale Baane Baithe Hai Busy Insaan.
Choti Se Choti Bato Ko Dil Se Lagaya, Phir Kamino Ne Jate Jate Khub Hansaya.
Padhai Ka To Sirf Bahana Tha. College Aor School to Dosto Se Milne Jaana Tha
Mera Marne Per Tujhe Ek Vaada Nibhana Hai, Mere JANAZE Pe Aake Kehana...

"KAMINE UTH JALDI KAL BUNK PE MOVIE DEKHNE JAANA HAI"

Monday 17 June 2013

SONA Kuch Risto Ke Naam Nahi Hote

Kuch Risto Ke Naam Nahi Hote.
Jude Hote Hai Dilo Ke Tar Unke Bhi, Jinke Hotho Pe Mahobaat Ke Pegam Nahi Hote.
Pe Hi Lete Hai Wo Bhi Aakho Se Chalti Madira,Jinke Hatho Me Jaam Nahi Hote.
Yu To Sarik Hote Hai Es Khal Me Lakho Mager, Sabki Takdir Me Isaq Ka Inaam Nahi Hote.
Mahobat Ka Aagaj To Kar Bhi Lete Sayed, Per Mere Hatho Me Mahobat Ka Anjaam Nahi Hota.
Likhi Jati Hai Patharo Se Takdir Mahobaat Ki, Mahobaat Me Asso Arram Nahi Hote.
Kuch Esi Bhi Mahobaat Hoti Hai Jaha Me Jiske Charche Sareamma Nahi Hote.
Kuch Risto Ke Naam Nahi Hote, SONA Kuch Risto Ke Naam Nahi Hote

Aaj Chand Bhut Udas Hai.


Aaj Chand Bhut Udas Hai
Hawa Bhi Hia Ruki Ruki, Raat Ke Daman Me Jarur Koi To Raaj hai.
Aaj Chand Bhut Udas Hai
Puch To Kuch Bola Nahi Bhed Kuch Khola nahi.
Hasi Me Uske Derd Hai, Aakhoo Me Nami Basi Hai.
Dil Se Dur Hai Bhut Bas Kehane Ko Mere Pass Hai.
Aaj Chand Bhut Udas Hai.
Regat Jara Fiki Se Hai, Nind Khai Udiudi Se Hai.
Sapne Khade Hai Dehlije Per Aakho Khuli Se Hai.
Dhadkan Bhi Hai Khamosh Se Bas Kehano Ko Sas Hai.
Aaj Chand Bhut Udas Hai.
Duba Hu Teri Yaad Me Tuta Kisika Ek Khawab Hai.
Kosis To Ki Thi Sam Bhalne Ki Per Derd Ka Ehasas Hai.
Hawa Ki Sarsarahat Me Bas Derd Ka Hi Ek Rag Hai.
Aaj Chand Bhut Udas Hai.
Khidi Pe Beth Kar Bas Use Takta Raha.
Caha Ki Puche Ki Wo Ek Raaj Bata De Tu.
Kyu Bedag Se Thi Rosni Kyu Chand Dagdar Hai.
Aaj Mera Chand Bhut Udas Hai.