Tuesday 2 July 2013

Ek thi Kashti ek tha Kinara.....

Ek thi Kashti ek tha Kinara.....
Dono the akele the dono hee besahara.....
Rutt badli par Kinara na peeche hata.....
Kashti bhi aati rahi dene use harr Dard ki dawa.....
Ek Dinn poochti Kashti ki tujhe Dard kya hai.....
Dia Jawab Kinare ne ki harr Din hee mera ek Saalgiraah hai.....
Baat yeh Kashti ke Samajh na aayi.....
Dard hai kya use yeh sunn woh dheeme se Muskurayi.....
Phir chal padi hawa or Kashti bhi uske Ruukkhh me beh chali gayi.....
Manzil thi uski Purab aur woh Paschim me Safar taye karti gayi.....
Sochta raha Kinara ki iska Safar bhi Dhua bharr ka hai......
Jaise Badli hawa waise hee Naavik use badalta hai......
Soch lo Zindagi mita lo aise hee Gum......
Kya hai Safar aur kyu hai tumsabki aankhein namm......
Rahe Manzil toh Raston ki na karo Fikar.....
Milti hai Manzil use jo bhatka hai Kashti ki tarah darbadar.......
Ab tu hai Kashti aur main hoon Kinaara.....
Chalna hamesha Sang na Chorna kabhi Saath hamara.....

Ek thi Kashti Ek tha Kinara.............!!!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment